JPG ka Full Form & Meaning | जेपीजी का फुल फॉर्म Kya Hai?




Friends! Aaj aapko JPG Full Form & JPEG meaning in Hindi Kya hai iske baare me jankari provide karenge. Full information ke liye yah post padhiye.

JPG / JPEG Full form in Hindi | JPEG ka full form & meaning

JPG Full Form / JPEG meaning kya hai?

JPG / JPEG Full form – Joint Photographic Experts Group.

JPEG ek prachlit image file ka format hai. Aamtaur par photo ko surakshit rakhne ke liye digital camera dwara iska prayog kiya jata hai. Yah 16,777,216 colors ko support karta hai. Is file type ko kayi level or percentage tak compress kar sakte hai. Yah file format internet or website designs ke liye best hota hai.

DIP Meaning & Full Form Janiye Hindi me 

RGB Colors ke pratyek color (Lal /Red , Hara / Green , Neela / Blue) ke 8 bits ka upyog karke 16 million colors ko JPG file me use kar sakte hai. RGB ke ek color me 256 colors ho sakte hai. Isliye jab iske three colors ko saath me use karte hai to 256 x 256 x 256 colors bante hai. Jiska result 16,777,216 hota hai. Isliye JPG me 16 millions rang aa sakte hai.

Advantages of JPG File Format / JPEG ke fayde

Compression in JPG Images: JPG ko compress karne ka jo algorithm hai uske dwara ek BMP file ko 10 baar compress kar sakte hai, isse file ka size kam ho jata hai lekin quality wahi rahti hai. Isliye professional photographer raw format me photo lete hai jise need ke anusar baad me compress karke web me use kiya ja sakta hai.

Ek JPG file me image data ke alawa Metadata bhi save ho sakta hai usme image ki related details jaise Dimension, Color scheme etc. aata hai. Agar photo digital camera se capture ki gayi hai to usse sambandhit information EXIF data jaise shutter spped, focal length jaisi anya details aati hai. Jaise smart phone se ya mobile se photo lene par uske details me aap kafi jankari dekh sakte hai.

What is JPG in Hindi

JPG digital images ka compress kiya huwa popular file format hai. Yah digital camera, Smartphones, OS & Web me use kiya jaane wala image format hai. JPG files ko 1-10 ke level par compress kar sakte hai, compress karne par quality me bahut jyda kharabi nahi aati lekin file size kam hota hai. Jisse social media, web, emails & other medium me image share karna easy hojata hai & internet data bhi kam use hota hai. Camera se photography ke liye yah sabse jyada use kiya jane wala format hai.

Limitations of JPG File Format / JPEG file ke Disadvantages

Digital photos ko store karne ke liye JPEG bahut prayog hota hai lekin isme fir bhi limitations hai:

  • Bahut jyada compression ki wajah se jpg file ko kuchh hissa bikul dikhayi nahi deta.
  • Agar image me bahut jyada text hai to GIF format me save karne sabse achha hai. What is GIF Full Form in Hindi.
  • JPG file format transparency support nahi karti hai, Agar aap transparent image chahte hai to PNG file format sabse achha option hai. PNG file format transparent pixel ko support karta hai & iska file size bhi low raht hai. Learn about PNG Full Form in Hindi.

What are difference JPG & JPEG? / JPG vs JPEG

  1. JPG aur JPEG dono same file format hai. Isfile format ko images save karne ke liye use kiya jata hai. Dono ka full form – Joint Photographic Experts Group hai (JPEG Full form).
  2. JPG ke extension 3 character ka hai & JPEG extension 4 character ka hai.
  3. JPEG ko mostly photographers use karte hai, digital camera photos ko JPEG format me export karta hai. Agar kisi image me gradient colors hai to yah format me color loss nahi hota hai.
  4. Important information about JPEG: Pahle computers me DOS operating system me 3 character ka extension support karta hai isliye JPEG ko JPG use kiya jane laga. Aaj ke samay me computer/laptops me Window 7/8/10 use ho rahe hai isliye ab dono extensions ko support karta hai. Learn what is computer in Hindi.

Janiye Computer ka Full Form.

Read more in Wikipedia: Learn about JPG.

Aap abtak JPEG / JPG Full forms & meaning in Hindi ke baare me knowledge le chuke hai. Asha hai aapko yah Full form of JPG ki jankari pasand aayi hogi.

Aap yah post apne dosto & relatives ke saath share karke unko bhi yah jankari dene me help kariye. Technical Jankari apne mail me prapt karne ke liye yah website (WebAniMax.com) ko subscribe kar sakte hai.- Webanimax

Leave a Comment

error

Please Share about Webanimax.com !